12+ Best Free Blogger Templates 2022-Top Best Free Blogger Templates-Download Now

(Bang-e-Dra-167) Parda Chehre Se Utha, Anjuman Arayi Kar

1 min read
Parda Chehre Se Utha, Anjum Arayi Kar
Chashm-e-Meher-o-Mah-o-Anjum Ko Tamashayi Kar

Lift the veil from thy Face and be manifest in the assembly
Make the eyes of the sun, moon and stars thy spectators

Tu Jo Bijli Hai To Ye Chashmak-e-Pinhan Kab Tak
Be-Hijabana Mere Dil Se Shanasayi Kar

If thou art the lightning how long this secret winking?
Make acquaintance with my heart without a veil.

Nafas-e-Garam Ki Taseer Hai Ijaz-e-Hayat
Tere Seene Mein Agar Hai To Masihayi Kar

The warm breath’s effect is the miracle of life
If it is on thy breast perform life‐giving miracles

Kab Talak Toor Pe Daryooza Gari Misl-e-Kaleem
Apni Hasti Se Ayan Shuala’ay Seenayi Kar

How long should begging be on the Tur like Kaleem!
Make the flame of Sinai manifest with thy existence

Ho Teri Khak Ke Har Zarre Se Tameer-e-Haram
Dil Ko Baigana’ay Andaz-e-Kalisayi Kar

Let the Harem be built with every speck of thy dust
Make the heart alien to the ways of the Church

Iss Gulistan Mein Nahin Had Se Guzarna Acha
Naz Bhi Kar To Ba Andaza-e-Raanayi Kar

It is not good to exceed limits in this garden
If thou showeth elegance make its show with grace

Pehle Khud-Dar To Manind-e-Sikandar Ho Le
Phir Jahan Mein Hawas-e-Shoukat-e-Darayi Kar

First become self‐respecting like Alexander.
Then make the show of desire of Dara’s grandeur

Mil Hi Jaye Gi Kabhi Manzil-e-Laila Iqbal !
Koi Din Aur Abhi Baad Ye Pemayi Kar

You will reach the destination of Layla one day, O Iqbal
For some more days continue wandering in the wilderness

You may like these posts

  • Insan Aur Bazm-e-QudratMan And NatureSubah Khursheed-e-Durakhsan Ko Jo Dekha Main NeBazm-e-Maamoora-e-Hasti Se Ye Pucha Main NeWatching at daybreak the bright sun come forthI asked…
  • Payam-e-Subah(Makhooz Az Lang Fellow)The Message Of Dawn(Adapted from Henry Wadsworth Longfellow)Ujala Jab Huwa Rukhsat Jabeen-e-Shab Ki Afshan KaNaseem-e-Zindagi Pegham Layi Subah…
  • Ishq Aur Mout(Makhooz Az Tenison)Love And Death(Adapted From Lord Alfred Tennyson)Suhani Namood-e-Jahan Ki Ghari ThiTabassum Fishan Zindagi Ki Kali ThiThe hour of the Universe’ app…
  • Zuhad Aur RindiVirtue And ViceEk Molvi Sahib Ki Sunata Hun KahaniTaizi Nahin Manzoor Tabiat Ki DikhaniA Mullah (I tell you his tale not a bitWith any ambition of airing my wit)Shoh…
  • DilThe HeartQissa-e-Dar-o-Rasan Bazi-e-Tiflana-e-DilIltijaye ‘Arini’ Surkhi-e-Afsana DilTales of gallows and crucifixion are mere child’s play for the HeartThe request of Arini is …
  • ShayarThe PoetQoum Goya Jism Hai, Afrad Hain Azaaye QoumManzil-e-Sanaat Ke Rah Pema Hain Dast-O-Paye QoumA nation is like a body, and the individuals in it the body’s limbs:Those w…

Post a Comment